Thursday, January 21, 2010

Roomful of memories!!


Wo kamra yaad aata hai
K jis men guzray roz-o-shub
tumhare naam hotay thay
tumhara zikr hota tha
tumhare khwaab hotay thay
Wo bistar yaad hai muhjko
K jis par late kar main ne
tumhari yaad ki chaadar talay
raatein guzari theen
Woh DIN ab bhi pada hai dil k konay men
Tumhari chitthi aai thi
K tumko duur jana hai
bohot hi door jana hai
Wo din ... aur aaj ka din hai
wo kamra kya wo bistar kya
wo ghar hi chhor aaye hum
teray khwabon teri yaadon se rishta todd aae hum
Magar phir bhi...
wo kamra yaad aata hai! :-/

No comments:

Post a Comment